Thursday 16 May 2013

Hadees Sharif

Haya Aur Khamoshi Imaan Ki Do Shakhayen Hai …..

∗ Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Jo Shaksh Meri Ita’at Karega Woh Jannat Me Dakhil Hoga
(Bukhari Sharif)

∗ Haya Aur Khamoshi Imaan Ki Do Shakhayen Hai Aur Fahash Goi(Gandi Bat) Aur Zyada Bolna Nifaaq Ki Do Shakhayen Hai. (Abu Dawood) 

∗ Maa-Baap Ka Naam Lekar Pukarna Aur Aurat Ne Shohar Ka Naam
Lekar Pukarna Maqrooh Hai. Ye Adab Ke Khilaf Hai.
(Bahar-e-Shariat)

-----------------------------

Kisi Ko Gaali Dena Apne Maa Baap Ko Gaali Dena Hai …….

Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai, “Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare, Log’on Ne Kaha Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Matlab Ki, “Ek Shaks Dusre Ke Baap Ko Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De.”
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No#5973)
Sabab : Yaad Rakhe Kisi Ko Gaali Dena Apne Maa Baap Ko Gaali Dene Ke Barabar Hai,

--------------------

Tum Me Se Kaun Hai Jisko Apney Maal Se Ziyada …

Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Tum Me Se Kaun Hai Jisko Apne Maal Se Zyada Apne Waris Ka Maal Pyara Ho?
Sahaba Ne Arz Kiya “Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam !
Hum Me Se Koi Aisa Nahi Hai Jise Apna Maal Ziyada Pyara Na Ho Phir Uska Maal Wo Hai Jisne (Mout Se) Pahle (Allah Ki Raah Me) Kharch Kiya Aur Uske Waris Ka Maal Wo Hai Jo Wo Chor Kar Mara.
(Sahih Bukhari)

----------------------

Aulaad Ka Qatl Bohot Sakht Gunaah Hai …..

» Muflisi(Garibi) Ke Khauf Se Apni Aulaad Ko Qatl Na Karo 
♥ Al Quran ♥ : Aur Logo Muflisi(Garibi) Ke Khouf Se Apni Aulaad Ko Qatl Na Karo Kyunki Unko Aur Tum Ko (Sabko) Toh Ham(Allah Ta’ala) Hi Rozi Deta Hai. Beshaq Aulaad Ka Qatl Karna Bohot Sakht Gunaah Hai .
(Surah Bani Israel, Aayat – 31)

» Allah Jise Chahta Hai Beti-Betiya Ata Karta Hai 
♥ Al Quran ♥ : Saare Aasmaan Wa Zameen Ki Hukumat Allah Hi Ki Hai, Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai . Aur Jise Chahta Hai Sirf Betiyan Deta Hai Aur Jise Chahta Hai Mahaj Beta Ata Karta. Ya Unko (Insano Ko) Bete-Betiya Dono Kism Inayat Karta Hai Aur Jisko Chahta Hai Baanz Bana Deta Hai, Beshaq Woh Bada Wakifkar Qadir Hai
-: (Surah Ash-Shura, Ayat 49,50)

» Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, “Sabse Bada Gunaah Yeh Hai Ki, Allah Ka Kisi Ko Sharik Theraye. Phir Uske Baad Ka Gunaah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane-Pine Ke Khauf Se Qatl Kiya Jaye.
(Bukhari Sharif, Jild 3, Baab 576, Hadees 939, Safa 345)

--------------------------

Tangdast Ko Muaf Karna Behtareen Amaal …..

★ Tangdast Ko Muaf Kardo !!!
∗ Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Ek Shakhs (Zamane-E-Guzistah Me) Logo Ko Udhaar(Karz) Diya Karta Tha, Woh Apne Ghulam Ko Kaha Karta Kisi Tangdast Madiun(Karz Lene Wale) Ke Paas Jana, Usko Muaf Kar Dena, Uss Ummid Par Ki Khuda Humko Muaf Karde, Jab Uska Inteqal Ho Gaya Allah Taala Ne Usko Muaf Kar Diya.
(Sahih Bukhari, Kitab Ul Ahadeesul Ambiya, Jild 2, Page No. 470, Hadees No. 3480)

★ Karzdar Ko Mohlat Do Ya Karz Muaf Kardo !!!
∗ Muraadul Mushtaakin (Sallallahu Ta’la Alayhi Wa Sallam) Farmate Hai, ‘Jis Sakhs Ko Ye Baat Pasand Ho Ke Allah Ta’la Usse Qayamat Ke Din Ghum Aur Ghutan Se Bachaye Toh Use Chahiye Ke Tangdast Karzdar Ko Mohlat De Ya Karz Ka Bojh Uske Uparse Utar De (Yani Karz Muaf Kar De).
(Muslim Sharif)

★ Makruz(Karzdar) Ko Khouf Se Azaad Kardo !!!
∗ Hazrat Imam-E-Aazam (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Aur Hazrat Shafiq (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Sath Ja Rahe The Ke Ek Sakhs Ne Aap Ko Dekha Aur Chup Gaya Aur Dusra Rasta Akhtiyar Kiya.

Aapko Maloom Hua Toh Aapne Use Pukara. Wo Aaya Toh Aapne Usse Pucha, Ke Tumne Rasta Kyo Badal Diya? Aur Kyo Chup Gaye? Usne Kaha, ‘Me Aapka Makruz(Karzdar) Hu. Dus Hazar Dirham Mujhe Aap Ko Dene Hai Jisko Kafi Arsa Guzar Chuka Hai Aur Me Tangdast Hu. Aapse Sharmata Hu.’

Aapne Farmaya: ‘Meri Wajahse Tumhari Ye Halat Hai? Jao! Maine Tumko Sab Dirham Bakhs Diya. Aur Maine Apne Aapko Nafs Par Gawah Kiya. Aap Aainda Mujhse Na Chupna, Aur Jo Khauf Tumhare Dil Me Meri Wajah Se Paida Hua, Uske Liye Mujhe Muaf Kar Do.
(Jawahirul Bayan)

----------------------

Ladki Ki Nikaah Ke Liye Razamandi Zaroori Hai «

∗ Hazrat Abu Huraira Wa Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Karli Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye”
(Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566)

∗ Imaam Bukhari (Radiallahu Anhu) Nakal Farmate Hai, Hazrat Aayesha (Radiallaho Anha) Ne Arz Kiya: “Ya Rasoolallah! Kuwari Ladki Toh Nikaah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai.” Aap(Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya ” Uska Khamosh Ho Jana Ijazat Hai”
(Bukhari Sharif, Jild 3,safa 76, Hadees No 124, Bab No 71)

∗ Hazrat Abuhuraira (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Balig Kuwari Ladki Se Uske Nikah Ki Ijazat Li Jaye Agar Khamosh Ho Jaye To Ye Uski Tarafse Ijazat Hai. Agar Inkar Kare Toh Uspar Koi Jabardasti Nahi”
(Tirmizi Sharif, Hadees No 1101, Jild 1,safa 567)

-----------------------------

Astagfar Karna Kitna Jaruri Hai ?…

∗ Astagfar Karna Kitna Jaruri Hai ?
Allah Ke Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, Main Khuda Ki Bargah Me Astagfar (Muafi Manga) Karta Hoon Aur Uski Taraf Ruju Karta Hoon Din Me 70 Baar Se Bhi Jyada.
(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:319)

∗ Astighfar Ki Dua :
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, Allah Se Astaghfar (Apne Gunaho Ki Maafi) Ki Sabse Behtar Dua Hai,
“Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Aage Farmaya, Agar Koi Shakhs Ye Dua Yakeen Ke Sath Din Me Parhe Aur Shaam Se Pehle Intiqaal(Mout) Kar Jaye Toh Jannat Me Jayega Aur Agar Yakeen Ke Sath Raat Ko Parhe Aur Subah Hone Se Pehle Intiqaal Kar Jaye Toh Jannat Me Jayega.
(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:318)

No comments:

Post a Comment